Ahamiyat
Log Line
Two bosom friend became arch-rival when staying in a sharing rented place. But the landlord decided to evict the tenant from his home. Then they understand the value of unity and togetherness.
AHAMIYAT (Short Film Script)
By
Amlan Basu
FLASH BACK
SCENE 1 - EXT. - ROAD - DAY
Swapan aur Manish bike chadke ghar aa rahe hain.
CUT TO
SCENE 2 - EXT. - PARK - DAY
Swapan aur Manish park me jogging kar raha hain.
CUT TO
SCENE 3 - INT. - ROOM - NIGHT
Swapan aur Manish dono khana kha raha hain.
SWAPAN
Aaj homlogo ko ye ghar me aakar ek saal ho gaya. Is khushi me homlog thoda party kar rahe hain.
MANISH
Aaj jaisa hona hi chahiye. Phir August hain tera birthday aa raha hain, tab phir party karenge.
SWAPAN
Jarur! Tera bhi birthday manaunga. Ye homlog kabhi bichar jayega malum nahi.
MANISH
Ye toh bahut achha hain. Jabtak homlog sath me rahenge tab tak toh bahut maja karunga.
CUT TO
SCENE 4 - INT. - ROOM - DAY
Swapan aur Manish eksath baithkar cha pi raha hain aur sath me nasta bhi kar raha hain.
MANISH
Swapan tera job me problem ho raha hain toh itna udas nahi hona chahiye.
SWAPAN
Nahi re Swapan, job chala jayega toh main bahut musibat me gir jaunga.
Manish Swapan ke pith piche halka chata marta hain.
MANISH
Nahi dost, aisa bura maat soch, sab thik ho jayega.
SWAPAN
Aajkal naya job milna bahut kathin hain. Toh purana job ko kaise bhi karke tikana padta hain.
MANISH
Tera job nahi rahega toh main hu na, tere liye kuch na kuch na kuch intejam kar dunga.
SWAPAN
Kuch mila nahi toh?
MANISH
Aare Swapan! Tu idhar se kidhar nahi jayegi. Main tujhe baithake khilaunga.
SWAPAN
Aisa kitne din karoge?
MANISH
Sharam lagta hai to mere se udhar le lena aur jabhi marji tabhi de dena. Main kuch nahi bolunga.
SWAPAN
Manish, thanks. Tu itna bola usmein main khushi hu. Tu mera jigri dost hain. Sachmuch Itna gahara rishta aur kisi dost ke sath nahi hua.
MANISH
Mujhe itna tarif karne ka jarurat nahi Swapan. Main bhi tujhe best friend manta hu. Homlog ek dono ke taklif me jarur sath dunga.
SWAPAN
Sahi baat bola Manish. Homlog ek dusre ke bina nahi rah sakte hain.
Dono ne dono ko alingan karte hain.
CUT TO
Char mahina baad
SCENE 5 - INT. - ROOM - DAY
Manish office jane ka liye tyar hota hain. Uske Debit card milta nahi. Khali pocket me Pachaas rupiya hain.
MANISH
Mera Debit card mil nahi raha hain. Mujhe shou rupiya ka bahut jarurat hain Swapan.
Swapan ne apne purse se nikalkar Panch shou rupiya Manish ko deta hain.
MANISH
Itna rakam?
SWAPAN
Rakh Manish. Kam me lag sakta hain.
CUT TO
SCENE 6 - INT. - ROOM - DAY
COLLAGE
Swapan aur Manish milkar playing card khel raha hain. Gana ga raha hain. Ghar saf-sufa kar raha hain. Ek sath milkar TV me film mey film dekh raha hain. Ekdin Manish ko bukhar hua toh Swapan ne usko dabai aur pani dey raha hain. Garam dudh aur fruit leke deta hain. Aur ek din dono ne ek ek-dono ke mobile me photo khichta hain, selfie lete hain. Room ke wall me dono ke ek sath photo frame ke sath lag jata hai.
CUT TO
Tin mahina baad
SCENE 7 - INT. - ROOM - NIGHT
Swapan aur Manish ghar me baithkar jhagra kar raha hain.
MANISH
Swapan, tu shala itna selfish hoga, main soch bhi nahi sakta.
SWAPAN
Jhuthe maat bol Manish. Main tera sath kabhi selfish behavior nahi kia. Aisa mera aadat hi nahi hai.
MANISH
Chup re. Tu kuch maat bol toh achha. Nahi toh mera dimaag garam ho jayega.
SWAPAN
Thik hain. Main kharab hu, toh tu mujhse baat e maat kar.
MANISH
Kya bola? Baat nahi karunga. Tu kuch bhi karte rahega, aur main sab chupchaap saha lu kya?
SWAPAN
Manish, main tujhe bahut achha dost manta tha lekin sab galat nikla. Tera jaisa beshram our bebakuf ladka main jindegi me kabhi nahi dekha.
MANISH
Ha, ha! Bahut bol diya. Main tera bare mey bolte jaunga toh tera burai khatam nahi hoga.
SWAPAN
Kyo, sach se tu darte hain, tujhe bura lagta hain.
MANISH
Bara sach bolne bala aa gaya hain, shar se payr tak jhutha me bhara hua hain. Tu to sachmuch aajkal ka rakshas nikla.
SWAPAN
Aare bekar ki baat karne ke liye mere pass baqt nahi hain.
MANISH
Swapan, tra galti ka jab ahasas hoga na, tab sab khatam ho jayega. Kuch baki nahi rahega.
SWAPAN
Mera dimag kharap maat karna, main bol raha hu.
MANISH
Tu kya karega? Jyada uchalkud maat macha. Aaj se tera sath koi lenden nahi, koi dosti nahi.
SWAPAN
Mujhe aisa ummiden nahi tha ki homlog aisa jigri dost se dushman ban jaunga.
MANISH
Tu abhi ummid karle aur boria bistar leke nikal ja. Main akelai room bhara chukane liye kafi hu.
SWAPAN
Main kyo jaunga. Mera kuch galti e nahi hain. Tujhe jana hai toh tu idhar se chala jaa.
CUT TO
SCENE 8 - INT. - ROOM - NIGHT
Abhi dono ek sath rahata toh hain lekin dekhna aur baat karna ekdom bandh kar diya. Ekdin landlord aaya unlogo se milne ke liye.
NIKHIL
Mera room jaldi khali kar do. Mujhe dusre ko bhare pe dena hain.
SWAPAN
Kyo Nikhilji. Achnak aap homologoko ghar chodne ke liye bol rahe ho.
NIKHIL
Kyo ki tumlog aajkal bahut jhagra korte ho, ye mujhe pata chala. Main esab ekdom bardaasht nahi karta hu. Tab maine naya kiratdaro ko rakhne ke liye siddhant le liya.
MANISH
Toh, Aapko ek mahine ke notice period toh dena parega.
NIKHIL
Nahi. Main tumlogoko ye mahina ke bhara nahi lunga aur deposit main bapas kar dunga.
SWAPAN
Aisa kaise hoga. Homlogo samay toh chahiye. Dusra room toh dekhna parega.
NIKHIL
That is your problem. Main tumlogoko kal tak ghar khali karke saman nikalne ka samay deta hu. Hamara baat nahi manoge toh hamara aadmi tulogoke saman bahar fekke ghar bandh kar dega.
SWAPAN
Nikilji please, homlogoko kuch baqt do. Main wada karta hu ki homlog aur jhagda nahi karenga.
NIKHIL
Nahi, mujhe kuch shunne ka nahi. Mera decision final hain, uska koi change nahi hoga.
Nikhil ghar se nikal jata hain. Swapan aur Manish ko bahut chinta hote hain. Next day, Nikhil ke aadmi aakar unlogoke saman ghar se bahar rakh dete hain aur deposit ka paysa bapas karte hain.
SCENE 9 - EXT. - COMPOND - DAY
Swapan aur Manish ek dusre ko dekhte hain. Tab dono ne dono ke gale lagkar rote hain aur nikaal jata hain.
FADE OUT
THE END
CHARACTER:
1. Swapan
2. Manish
3. Nikhil
SCENE LOCATION:
1. Road
2. Park
3. Room.
4. Room
5. Room
6. Room
7. Room
8. Room
9. Society Compound
Comments
Post a Comment